Dosto aaj ka ye post really aapko bahut pasand aayega ,aur aap is post ka pryog karna jab seekh jayenge to aapko itni khusi milegi iska andaja bhi nhi laga sakte aap,kyonki is post ko padhne ke baad aap apne computer ke sabhi feature jaise koi bhi function kholna,koi bhi application or software chalana etc ye sab aap apne phone se hi kar sakte hai bina apne computer ko hath lagaye ,yanha tak ki main ye jo article likh raha hoon aapko bata du apne mobile par type kar raha hoon aur likh mere computer par raha hai ,ye sab sunkar aapko ajeeb sa lag raha hoga but realy ye possible hai aur aap badi hi aasani se aisa kar sakte hai .baise to ye aap sab hollywood ki movies me dekhte honge lekin yakeen maniye ab ye sab aap khud karna seekh jayenge aur main aapko ek ek cheej sikhaunge jisse humare indians aur bhi jayada smart bane ,i know indians to pehle se hi smart hai bas main unhe thoda aur smart banana chahta hoon.
To chaliye aage badhne se pehle hum ye jaan lete hai achhe se ki aap kya kya kar sakte hai is post ko padhne ke baad aur kya kya seekh jayenge ,kyonki jab tak aapko yahi pata nhi rahega ki aap karne ya seekhne bale kya hai tab tak aapko enjoy nhi aayega is article ko padhne me.
- 1. Aap apne android phone ko computer ke mouse ki tarah work kara sakte hai,ji haa aap apne computer ke curser ko apne android phone se hi idhar udhar kar sakenge wo bhi bilkul baise jaise aap apne Laptops ke touch pannel ko touch karke karte hai aur curser idhar udhar movement karne lagta hai.
- 2. Aap apne mobile se hi vlc media player ,windows media player ,aur bhi bahut tarike ke music players aur videos players ko control kar sakte hai ,kisi bhi movies ya song ka volume kam jyada kar sakte hai usko forward-backward kar sakte hai,and sab kuchh aap apne mobile se control kar sakte hai ,aapko apne computer ko chhoone ki bhi jarurat nhi padegi.
- 3. Aap door baithkar hi apne computer ko shut down kar sakte hai,restart kar sakte hai,lock kar sakte hai.
- 4. Kisi bhi web browser ko open karna ho aur net chalana ho computer par to aap wo sab apne android phone se control kar sakte hai ,iska matlab aap net apne android phone me chalayenge aur computer ki screen par apne aap wahi sab hoga jo aap apne mobile par kar rahe hai.
- 5. Aap apne mobile ke keyboard par jo bhi type karoge wo apne aap hi aapke computer par type hone lagega ,Ab maan lo aapne apne computer par kuchh likhna hai iske liye aapne word pad open kiya,and ab aap chahte hai ki bina computer ke keyboard ki button dabaye aap apne android phone se kuchh likhe aur wo direct word pad par likhe to aap aisa kar sakte hai.
Note: Upar diye gaye sabhi points aap karna seekh jaoge aaj apne android phone se really aapko bahut maza aane bala hai ,bhai mujhe to bahut aata hai ye sab karne me.
Requirement:
- 1. Android smart phone
- 2. computer ya Laptop
- 3. Aapke android phone aur computer dono same wifi se connected hone chahiye agar nhi hai tab bhi koi baat nhi ek solution hai iske liye,baise bahut se logo ke liye ye mushkil pad jati hai ki same wifi available nhi ho pate ,to agar aapke android phone aur computer dono me blutooth hai to aap dono ko blutooth ke jariye bhi connect kar sakte ho,koi bhi internet ki jarurat nhi padne bali ab aaapko dosto.
- 4. And thoda mind ki kaise software install kiya jata hai
That's it dosto.
Step by step process to control everything in your computer via android device
Neeche main ko pura tarika step by step samjhane ja raha hoon ,aap inhe follow kariye aur apni knowledge ko improve kariye.
Step:1 ) Sabse pehle aap is link par jakar ek app download kariye and usko install kariye apne android phone me.Iske baad aapko jarurat hogi ek dusre android app ki jiska naam hai unified ,aap ise neeche di gyi link par click karke apne android phone me install kar lijiye.
<<Download unified apk>>
Step:2 ) Ab iske baad aapko ek software apne windows computer ke liye download karna hoga jiska naam hai unified server,isko aap neeche di gayi link se downlaod kar lijiye.
<<Download Unified Remote server >>
Step:3 ) Aap apne computer me unified server software ko install kar lijiye jaise aur baaki ke software install karte hai ,main maan kar chal raha hoon ki aapko itni knowledge to hogi hi kaise software install kiye jate hai.Aur haa iski setting me koi changing nhi karna jaisi ho bas baise hi bane rehne dena.
Step:4 ) Ab main maankar chal raha hoon ki aapne computer ya laptop me unified server software install kar liya hai,install karne ke baad ye aapke task baar me show hone lagega.Aur is par right click karke start server par click kar dena agar start na ho to.
Step:5 ) Iske baad apne android phone ka blutooth on kariye aur computer ka to baise bhi enable rehta hai agar na ho to usko bhi on kar dijiye.
Step:6 ) Ab apne mobile par jo unified app install kiya tha usko open kariye.
Step:7 ) Iske baad ek screen khul kar aayegi simply "Skip this step" us par click kar dijiye.
Step:8 ) Iske baad ek menu ka option hoga (3 seedhi lines hongi wahi menu ka option hai) us par click karna aur server par click karna aur check karna ki aapke computer ka blutooth show ho rha hoga.Us par click karke usko select kar dena.
Step:9 ) Jaise hi aapka computer aur android mobile ek dusre se connect ho jayenge blutooth ki help se to aap dekhenge ki aapke samne kafi sare option khul kar aa jayenge jaise media,power,firefox,vlc,screen etc
Step:10 ) Ab aap isko kaise use karenge ye neeche point me dekhiye to aap samjh jayenge.
- Agar aapko mouse ki tarah android phone ko work me lana hai to ye option choose karna aur screen par apni finger idhar udhar slide karna isse aap dekhenge ki aapke computer ka curser bhi idhar udhar move karega.
- Ab agar aap vlc media player ya windows media player ko mobile se control karna chahte hai to wanha par bane + sign par click karna jo right side me neeche button hogi, aur vlc player ya windows media player ko add kar lena jisse bo home screen par show hone lagega aur us par click karke aap usko control kar sakte hai.
Aap isko khud hi sabhi feature check kar sakte hai main yanha par sabhi to nhi bata paunga kyonki isme bahut se feature hai jaise input,media,presentation,browsers,Utility etc,aap sabko ek ek karke check kar sakte hai.
To dosto kaisa laga aapko aaj ka ye post comment karke batayiye jarur ,taaki main apne readers ke man ki baat jaan saku jisse mujhe help milegi aapko achhe topic par post provide karane me.Agar aapko ye post pasand aaya ho to isko share karna mat bhooliye.