Sexually Transmitted Diseases - Jinsi Beemariyan


Yeh STD's (jinsi beemariyan) usually prostitutes, animals aur anus mein mubashrat (Intercourse) ki wajha sey paeda hoti hain. Gonorrhea mein penis ki nali mein infection hojata hai aur syphilis mein penis kay ooper blister per jatain hain jo baad mein jism kay doosrey hisson mein phael jatain hain. Gonorrhea aur syphilis kay elawa hepatitis aur aids jaisai mohlik amraz bhi mubashrat (Intercourse) kay zariya doosrey afrad ko transfer hojatai hain. Yeh beemariyan oral sex aur anal sex mein zyada asani sey transfer hoti hain. Junhi ap apnai makhsoos organ yeh iss kay erd gird acne, pimples, blisters daikhain yeh peeshab ki nali sey pas anai lagai to foran kisi urologist sey contact karain. Elaj na karanai ki sorat mein yeh beemari apki wife yeh husband ko aur phir anai walai bachon ko transfer ho sakti hai. (Hyde: Reuben)

Jinsi Beyrahrawi (Sexual Perversions)

    Jinsi khwahish ki takmeel kay liye normal aur fitri zariya shadi kay baad aurat kay sath mubashrat (Intercourse) karna hai. Jinsi taskeen kay doosrey zarai ghair fitri hain jinko jinsi berahrawi kaha jata hai. Sexual perversions ka shikar zyada tar mard hotey hain. Psychiatrists ka dawa hai kay aisai aksar afrad ka elaj karkai unko theek kara ja sakta hai. Hamnai khud bohut sey aisai afrad ki help kari. Jinsi beyrahravi ki bohut si aqsaam hain. Chund ahem ka mukhtasir zikr kiya jata hai. (StorrHyde)