Infertility Causes - Baanjh Pan Ki Wajah (Urdu & Hindi)


ab kay test tube kay liye sirf 50000 sperms ki zarorat hai. Test tube mein amoman larki paeda hoti hai. (Shettles) Duniya ki pahli test tube baby 1976 mein England mein paeda hui. Lahore mein bhi yeh saholat mojood hai. Ajkal science ki taraqi ki wajha sey sperms ki tadaad mein ezafa karna mumkin hai. Nojawano ko chahiya kay shadi sey pehley apna sperm count check karalai. Agar kam ho to kisi achai doctor sey adviyat (medicine) lain.

    Aurton mein baanjh pan (infertility) ki kaee wajoohaat (causes) hoti hain. Kabhi falopian tube band hoti hai. Kabhi inn mein koi kharabi hoti hai. Kabhi ovaries sahi tor per kam nahi kar rahi hoti. Kabhi egg puri tarhan tayar nahi hotey. Kabhi egg fallopian tube mein nahi utartai. Ensab ka elaj mumkin hai. Lehaza shadi kay baad ki pareshanion sey bachnai ka liye behter yahi hai ka larkian kisi gynecologist sey apna checkup karalai aur agar zarorat ho to elaj kara lain.

Jinsi Beemariyan:

    Aisi beemariyan jo jinsi melab kay zariya aik shaks sey doosrey shaks ko transfer hojati hain. Yeh bohut si hain magar zyada ahem Gonorrhoea aur Syphillis hain. Yeh beemari azab-e-elahi hai. Yeh mardon aur aurton dono ko hojati hai. Yeh bhayanak beemariyan bachon ko bhi transfer hojati hai. Baaz auqat yeh beemariyan fori zahir nahi hoti bul kay kafi dair kay baad zahir hoti hain.