Hymen - Parda e Bakarat


Yani jitna big bazer (Clitoris) utna hi zyada jinsi khwahish. Dusri taraf woh aurtein jinka bazer (Clitoris) chota hota hai unki jinsi khwahish kam hoti hai. Isliye big bazer (Clitoris) wali aurton ka bazer (Clitoris) kay ooper wala kuch hissa cut kardiya jata hai taqai zyada jinsi khwahish aur jazbat ki wajha sey woh sexually zyada active hokar beh-reh-ravi ekhtiyar karka family ki badnami ka sabab na banai. Aj bhi Egypt aur doosrey African countries aur America ka baaz hisson mein bazer (Clitoris) ka circumcision hota hai. Jab ka es nazariya ki koi haqeeqat nahi. Dekha gaya hai ka aisi aurtein jinka bazer (Clitoris) ka size big hai woh sexually zyada active nahi hotin. Dusri taraf woh aurtein jinka bazer (Clitoris) chota hai woh zyada active hoti hain.

Parda e Bakarat (Hymen):

    Pakistan ka baaz elaqon mein suhag rat mein bed per white bedsheet bechai jati hai taqai aurat ki virginity check kari ja sakai. Agar pahli rat bed per khoon laga hai to aurat ko virgin samjha jata hai warna esko foran divorce dai di jati hai. Yani agar khoon na niklai to esko badkirdar samjha jata hai. Hymen ki majodgi yeh adam-mojodgi aurat ki virginity ka sign nahi. Mera aik naujawan client nai meri aik workshop "Shadi ki bharpoor khushi---Masail aur hal" mein shirkat kari aur phir eski shadi hogai. Shadi ka next day uska phone aya. Woh bohut hi pareshan tha aur biwi ko divorce daina ka soch raha tha. Pareshan isliye tha ka esnai successful mubashrat (Intercourse) kii magar es rat uski biwi ko khoon nahi aya.