Heart touching poetry in urdu | Best poetry

Heart touching poetry in urdu | Best poetry




Afreen tujhpe tera bhool jana






Afree’n Tujh Pe Tera Bhool Jaana Akser,
Afree’n Mujh Pe Teri Hee Yaad Musalsal



آفریں تجھ پہ تیرا بھول جانا اکثر
آفریں مجھ پہ تیری ہی یاد مسلسل




غم دنیا بھی غم یار میں




Gham e Duniya Bhi Gham e Yaar Mein Shamil Karlo,

Nasha Barhta Hai Sharabein Jo Sharabon Mein Milein

غم دنیا بھی غم یار میں شامل کر لو
ہ بڑھتا ہے شرابیں جو شرابوں میں ملیں





دشمنوں کے ساتھ





Dushmanon Ke Sath Mere Dost Bhi Azad Hain

Dekhna Hai Khinchta Hai Mujh Per Phely Teer Kon


دشمنوں کے ساتھ میرے دوست بھی آزاد ہیں

دیکھنا ہے کھینچتا ہے مجھ پہ پہلا تیر کون




کون کہتا ہے کے موت آے گی





Kon Kehta Hai K Maut Aayegi Aur Main Mar Jaoonga

Main To Dariya Hoon Samandar Main Uttr Jaoonga



کون کہتا ہے کے موت آے گی اور میں مر جاوّں گا

میں تو دریا ہوں سمندر میں اُتّر جاوّں گا




لوگ اگر یونہی کمیاں نَکالتے رہے تو




Log Agar Yun Hi Kamiyan Nikalte Rahe Toh,

Ek Din Sirf Khubiyan Hi Reh Jayengi Mujh Mein




لوگ اگر یونہی کمیاں نَکالتے رہے تو

اک دن صرف خوبیاں ہی رہ جا ئینگی مجھ میں



کمسنی میں بہت شریر تھی وہ





Kamsani Mein Bahut Shareer Thi Woh

Ab Toh Shetaan Ho Gayi Hogi

کمسنی میں بہت شریر تھی وہ

 تو شیطان ہو گئی ہوگی





Jaane Kahan Base Gi Tu,

Jaane Kahan Rahunga Main

جانے کہاں بسے گی تُو

جانے کہاں رہوں گا میں



حُسن یوسف جیسا ہو




Husn Yousuf Jaisa Ho Ya Surat Bilal Jaisi,
Ishq Agar Rooh Se Ho Toh Har Roop Kamal Hota Hai


حُسن یوسف جیسا ہو یا صورت بلال جیسی

شق اگر روح سے ہو تو ہر روپ کمال ہوتا ہے



چار دن میرے ساتھ 





Char Din Mere Sath Kheli Hai,
Zindagi Hee Meri Saheli Hai

چار دن میرے ساتھ کھیلی ہے

ندگی ہی میری سہیلی ہے




یک وہ خود ہے شاعری جیسی 







Aik Woh Khud Hai Shayari Jaisi,
Aur Phir Shayari Bhi Karti Hai

ایک وہ خود ہے شاعری جیسی 
اور پھر شاعری بھی کرتی ہے






کوئی امّید بر نہیں آتی








Koi Umeed Bhar Nahi Aati
Koi Surat Nazar Nahi Aati

کوئی امّید بر نہیں آتی
 صورت نظر نہیں آتی

There is no hope to be found
There is no resolution to be sought

Maut Ka Aik Din Mo-ayeeyan Hai
Neend Kyun Raat Bhar Nahi Ati

موت کا ایک دن معین ھے
نیند کیوں رات بھر نہیں آتی؟

Death is destined to arrive one day
But why does sleep fail to come all night

Aagey Aati Thi Haal e Dil Pe Hansee
Ab Kisi Baat Per Nahi Ati

آگے آتی تھی حال دل پہ ہنسی
اب کسی بات پر نہیں آتی

Once I was able to laugh at the predicament of my heart
Now I am unable to laugh at anything

Jaanta Hoon Sawab-e-Teyat-o-Zohad
Per Tabiyat Udher Nahi Ati

جانتا ہوں ثوابِ طاعت و زہد
پر طبعیت ادھر نہیں آتی

Though I am aware of the rewards of prayer and virtue
But I am prohibited by my disposition

Hai Kuch Aesi Hee Baat Jo Chup Hoon
Warna Kiya Baat Ker Nahi Aati

ہے کچھ ایسی ہی بات جو چپ ہوں
ورنہ کیا بات کر نہیں آتی

This matter is such that I am prevented from speaking of it
Otherwise what is there that I cannot speak of

Kyun Na Cheekhon ke Yaad Kartay Hain
Meri Awaaz Gar Nahi Aati

کیوں نہ چیخوں کہ یاد کرتے ہیں
میری آواز گر نہیں آتی

Why shouldn’t I shout for I reminisce
Yet my voice fails to produce any sound

Daag-e-dil Gar Nazar Nahi Aata
Boo Bhi Ae Chaaraa-Gar Nahi Aati

داغِ دل گر نظر نہیں آتا
بو بھی اے چارہ گر نہیں آتی

Though the wound of my heart cannot be seen
but my healer, even a trace of its smoldering is missing

Hum Wahan Hain Jahan say Hum Ko Bhi
Kuch Hamari Khabar Nahi Aati

ہم وہاں ہیں جہاں سے ہم کو بھی
کچھ ہماری خبر نہیں آتی

I am in such a state, from where even I am
Unable to get any news of myself

Marte Hain Arzoo Mein Marne Ki
Maut Aati Hai Per Nahi Aati

مرتے ہیں آرزو میں مرنے کی
موت آتی ہے پر نہیں آتی

I am dying of impatience in hope of death
Death appears,yet fails to arrive

Kaba Kis Moun Se Jao Ge Ghalib
Sharam Tum Ko Magar Nahi Aati

کعبہ کس منہ سے جاؤ گے غالبؔ

شرم تم کو مگر نہیں آتی

How will you go to Kaaba, O Ghalib!
You do not bear any shame!




کاش کوئی تو ایسا ہو   





Kaash Koi Toh Aesa Ho,
Jo Ander Se Bahar Jaisa Ho

کاش کوئی تو ایسا 
جو اندر سے باہر جیسا ہو



روششہر سے متاثر





Roshan Sheher Se Mutasir Na Kar,
Main Hasee’n Veerane Mein Hun

Haqeeqat Pe Meri Nazar Na Kar,
Main Kitaabi Afsane Mein Hun


،روشن

شہر سے متاثر نہ کر
میں حسیں ویرانے میں ہوں
،حقیقت پہ میری نظر نہ کر
میں کتابی افسانے میں ہوں




  مرد بنو جسے عورت چاہے






Woh Mard Bano Jissey Aurat Chahe,
Woh Nahi Jissey Aurat Chaiye

  مرد
  بنو جسے عورت چاہے

وہ نہیں جسے عورت چاہیے



Waha bhi Teri hi arzoo ho gi



Wahan Bhi Teri Hee Arzoo Hogi,
Jahan Suna Hai Bahut C Hoorein Hoti Hain




Dua To Deta ha




Dua Toh Deta Hai Mera Raqeeb Bhi Lekin,
Dua K Ain Pe Nuqta Laga K Deta Hai




Ishq ka ek hi ward ha


Ishq Ka Aik Hee Dard Hai,
Ishq Mashooq K Gird Hai




Shairoon sa taaluk




Shayaron Se Taluq Rakho, Tabiyat Theek Rahegi,
Yeh Woh Hakeem Hain Jo Lafzon Se Ilaaj Karte Hain




Sunat bhi Ada ho gi


Sunnat Bhi Adaa Hogi,
 Farz Bhi Adaa Hoga,

Woh Kya Samaa Hoga Jab 
Hum Dono Ka Nikaah Hoga


Meri nigah e muhabbat


Meri Nigah e Mohabbat 
Ka Intikhab Ho Tum,

Chaman Mein Phool Bahut
 Hain Magar Gulab Ho Tum




Chalo uska nahi khuda ka



Chalo Uss Ka Nahi Allah
Ka Ehsaan Lete Hain,

Woh Minat Se Nahi Maana 
Toh Mante Maan Lete Hain

Fitoor hota ha


Fitoor Hota Hai Har 
Umar Mein Juda Juda,

Khilona, Ishq, Paisa Aur 
Phir Khuda Khuda

فتتور ہوتا ہے ہر عمر میں جدا جدا
کھلونا ، عشق ، پیسہ اور پھر خدا خدا



Ae musawir tujhy ustad




Ae Musawar Tujhe Ustad Main Maanu Ga,
Dard Bhi Kainch Meri Tasveer K Saath



Hum koi yousafsani




Hum Koi Yousaf Saani 
Toh Nahi Hain Phir Bhi,

Jaa Baja Sheher Mein 
Bazaar Se Lag Jaate Hain





Zindagi ki mahfil main



Zindagi Ki Mehfil Mein 
Jab Sabr Aata Hai,

Toh Beshumaar Gunaah 
Uth K Chale Jaate Hain





  Main usy chahta to hun



Ma usy chahta to hun
Magar Ehtram-e-Izhaar Nahi Kar Sakta

Mai Tere Is Badan Ko
Mohabbat Ka Naam De Kar 
Aludah Nahi Kar Sakta

Jitna Bhi Kamiyab Ho Jaye
Ab Murshid Ka Mukabla Tou Nahi Kar Sakta

Ali Ko Janne K Lie Bhi Ali Chahiye
Ab Har Shaks Bhi Tou Ali Ali Nahi Kar Sakta

Mai Yazeed Ka Sath De Kar
Aal-Muhammad Se Daga Nahi Kar Sakta


میں اسے چاہتا تو ہوں

مگر احترام اظہار نہیں کر سکتا

میں تیرے اس بدن کو

محبت کا نام دے کر آلودہ نہیں کر سکتا

مرید جتنا بھی کامیاب ہو جاۓ

اب مرشد کا مقابلہ تو نہیں کر سکتا

علی کو جاننے کیلۓ بھی علی چاہیۓ

اب ہر شخص بھی تو علی علی نہیں کر سکتا

میں یزید کا ساتھ دے کر

آل محمد سے دغا نہیں کر سکتا





Log akar kr esa jeety




Log Akar Kar Aese Jeete Hain,
Jaise Aab e Hayat Peete Hain

لوگاکڑ کر ایسے جیتے ہیں
جیسے آبِ حیات پیتے ہیں



Nafratoon k tere kha ker




Nafraton Ke Teer Khaa Kar, 
Dosto’n Ke Sheher Mein,

Hum Ne Kis Kis Ko Pukaara, 
Yeh Kahani Phir Sahee

نفرتوں کے تیر کھا کر، دوستوں کے شہر میں
ہم نے کس کس کو پکارا، یہ کہانی پھر سہی



Mai Kade Band Kardein Lakh Zamane Wale,
Sheher Mein Kam Nahi Aankhon Se Pilane Wale
مئے کدے بند کریں لاکھ زمانے والے
شہر میں کم نہیں آنکھوں سے پلانے والے



Adaa Katil, Bayaa’n Katil, Zuba’n Katil, Nigah Katil,
Tumhara Silsila Shayad Kisi Katil Se Milta Hai
ادا قاتل، بیاں قاتل، زباں قاتل، نگاہ قاتل
تمہارا سلسلہ شاید کسی قاتل سے ملتا ہے



Mulaim Hath, Kham e Zulf, Ada e Nain Aur Yaqoot Hont,
Wallah Katal Baaqi Hai Auzaar Toh Sab Hee Pooray Hain
ملائم ہاتھ ، خمِ زُلف ، ادائے نین اور یاقوت ہونٹ
واللہ قتل باقی ہے اوزار تو سب ہی پورے ہیں



Hoti Hain Kayi Nazrein Dil Ko Choone Wali,
Har Nazar Bhi Nazar Andaz Nahi Hoti
ہوتی ہیں کئی نظریں دل کو چُھونا والی
ہر نظر بھی نظر انداز نہیں ہوتی



Woh Jo Kehta Tha Ishq Mein Kya Rakha
Hai,
Ek Heer Ne Ussey Ranjha Bana Rakha Hai
وہ جو کہتا تھا عشق میں کیا رکھا ہے
اک ہیر نے اُسے رانجھا بنا رکھا ہے




Tareekh Mein Qissay Toh Husn e Yousuf Ke Hain,
Phir Yeh Bint e Hawa Kis Baat Pe Itrati Hai
تاریخ میں قصے تو حسنِ یوسف کے ہیں
پھر یہ بنتِ حوا کس بات پہ اتراتی ہے





Quwat e Ishq Se Har Past Ko Bala Kar De,
Dehr Mein Ism e Muhammad ( S.A.W ) Se Ujala Kar De
قوتِ عشق سے ہر پست کو بالا کردے
دہر میں اسمِ محمدؑ سے اُجالا کردے








Rangon Se Darr Nahi Lagta Sahab,

Rang Badalne Walon Se Lagta Hai

رنگوں سے ڈر نہیں لگتا صاحب

رنگ بدلنے والوں سے لگتا ہے




Waqt Jab Bhi Laut Kar Aata Hai,
Ya Toh Imtihan Leta Hai Ya Inteqam
وقت جب بھی لوٹ کر آتا ہے
یا تو امتحان لیتا ہے یا انتقام




Khud Ko Bawazu Kiya Tere Tasawar Se Bhi Pehle,
Maine Iss Darje Tere Ishq Ko Pakeeza Rakha
خود کو باوضو کیا تیرے تصور سے بھی پہلے
میں نے اس درجہ تیرے عشق کو پاکیزہ رکھا





Mohabbat Karne Walon Se Tu Maange Saron Ki Bali,
Arey Ishq Kuch Khayal Kar Yeh Toh Rasm Hai Kafirana
محبت کرنے والوں سے مانگے تُو سرَوں کی بَلیِ
ارے عشق کچھ خیال کر یہ تو رسم ہے کافرانہ





Na Zameen Apni Na Aasman Apna,
Duniya Mein Nahi Koi Maqam Apna
نہ زمین اپنی نہ آسمان اپنا
دنیا میں نہیں کوئی مقام اپنا




Tum Kya Jaano Mohabbat Ke Meem Ka Matlab,
Agar Mil Jaye Toh Mojza Na Mile Toh Maut
تم کیا جانو محبت کے ’ م ‘ کا مطلب
اگر مل جائے تو معجزہ نہ ملے تو موت




Husn Ka Kya Kaam , Sachi Mohabbat Mein,
Aankh Majnu Ho Toh, Har Laila Haseen Lagti Hai
حُسن کا کیا کام سچی محبت میں
آنکھ مجنوں ہو تو ہر لیلیٰ حسین لگتی ہے




Hazaron Gham Hain Lekin Aankh Se Tapka Nahi Aansu,
Hum Ahl e Zarf Hain Peete Hain Chalkaya Nahi Karte
ہزاروں غم ہیں لیکن آنکھ سے ٹپکا نہیں آنسو
ہم اہلِ ظرف ہیں پیتے ہیں چھلکایا نہیں کرتے




Tum Qayamat Ka Naam Doh Ge Issey,
Waqt Apni Thakan Utaare Ga
تم قیامت کا نام دو گے اِسے
وقت اپنی تھکن اتارے گا




Halaat Ke Kadmon Mein Qalandar Nahi Girta
Tute Bhi Jo Taara Toh Zamee’n Per Nahi Girta,
Girte Hain Samundar Mein Bare Shauk Se Dariya
Lekin Kisi Dariya Mein Samundar Nahi Girta
حالات کے قدموں میں قلندر نہیں گرتا
ٹوٹے بھی جو تارا تو زمیں پر نہیں گرتا
گرتے ہیں سمندر میں بڑے شوق سے دریا
لیکن کسی دریا میں سمندر نہیں گرتا






Tennu Saade Wargi Nahi Charni,
Asaa’n Yaar Dee Akh Chon Peeti Ae
تینوں ساڈے ورگی نئیں چڑھنی
اساں یار دی اکھ چوں پیتی اے







Saanu Ilm Ae,
Ae Duniya Film Ae
سانُو عِلم اے
اے دُنیا فِلم اے




Woh Mile Bhi Toh Faqat Khuda Ke Darbar Mein,
Ab Tum Hee Batao Ibadat Karte Ya Mohabbat
وہ ملے بھی تو فقط خدا کے دربار میں
اب تم ہی بتاؤ عبادت کرتے یا محبت



Khud Se Jeetne Ki Zid Hai Mujhe Khud Ko Hee Harana Hai,
Main Bhir Nahi Hun Duniya Ki Mere Ander Aik Zamana Hai



Daad Milti Hai Dard Suna Kar,
Ajab Hunar Hai Shayari Bhi







Uski Aankhen Sawal Karti Hain,
Aur Meri Himmat Jawab De Jaati Hai





Main Bura Kaise Ho Gaya Sahab,
Dard Likhta Hun Kisi Ko Deta Toh Nahi






Hum Abhi Haroof e Tahaji Bhi Nahi Parh Sakte,
Aur Tumhari Aankhen Hain Riyazi Ke Sawalon Jaisi




Qayamat Hai Zalim Ki Neechi Nigahein,
Khuda Jaane Kya Ho Jo Nazrein Utha Lein



Nahi Hote Bardasht ‘ Tum ‘ Per 2 Nukte,
Tab Hee Toh Kehta Hun ‘ Hum ‘ Ho Jayein



Yani Ab Log Seekhaein Ge Main Kaise Dekhun,
Meri Marzi Main Uss Shaks Ko Jaise Dekhun



Guftagu Ki Jiye Magar Ahtiyat Ke Sath,
Log Mar Jaate Hain Alfaaz Ke Sath




Zulekha Phir Tere Kadmon Mein Hogi,
Tum Yousuf Jaisa Kirdar Toh Laao



Abhi Tum Tifle Maktab Ho, Sambhalo Apne Joban Ko,
Yeh Totey Kachi Faslon Ka Bara Nuqsan Karte Hain



Tera Deedar Hee Aankhon Ki Tilawat Tehra,
Yeh Mera Ishq Hai Muqadas Ibadat Jaisa



Taa Umar Kaun Karta Hai Chahat Mere Hazoor,
Milte Hain Kab Jahaan Mein Zulekha Mizaj Log



Ek Roz Hum Aese Soyeinge,
Ke Jhagne Wale Bhi Royeinge



Woh Jis Ke Hone Se Zindagi Naghma Sarayi Hai,
Ussey Kehna Ke Bheegi January Phir Laut Aayi Hai



Tere Lafzon Mein Woh Tafseel Kahan,
Apni Aankhon Se Kaho Baat Karein




Beh Maut Mar Jaate Hain,
Be Awaz Rone Wale




Mujhe Kya Khabar Ke Woh Ishq Tha Namaz Thi Ke Salam Tha,
Mera Ashq Ashq Tha Muqtadi Tera Harf Harf Imam Tha



Lagi Hai Bad’Dua Gulabo Ki,
Jin Ko Tora Tha Tere Liye




Kis Kadar Hoga Yahan Mehr o Wafa Ka Matam,
Hum Teri Yaad Se Jis Roz Utar Jayein Ge



Waqt Ke Aik Damachey Ki Deir Hai,
Meri Faqeeri Bhi Kya Teri Badshahi Bhi kya



Ishq Toh Ishq Hai Sahab Majazi Ho Ya Haqeeqi,
Jo Maza Tarapne Mein Hai Woh Sukoon Mein Kahan



Samundar Ishq Ki Gehrayi Ko Na Naap,
Tasawar Mein Yaar Ko Rakh Aur Doobta Jaa




Mujhko Seya Rang Se Ulfat Bala Ki Thi,
Phir Yun Hua Ke Bakhat Mein Kaalak Bikher Gayi



Kahan Gaye Shab e Furqat Ke Jagne Wale,
Sitare Sehri Hum Kalam Kab Se Hai



Sitaaro Tum Toh Soh Jao,
Pareshan Raat Saari Hai



Din Badle Mausam Badla Aur Badla Yeh Saal Aakhir,
Ehsas Badla Insaan Badla Kyun Na Badla Apna Haal Aakhir



Na Zouq e Deed Muyasir, Na Aarzu Ka Sarwar,
Nazar Ko Chain, Na Dil Ko Qarar Hai Saaqi



Meri Aarzu’on Ki Tameed Tum Ho,
Mera Chand Tum Ho Meri Eid Tum Ho




Hasratein Hasratein Hee Rahee,
Aur Zindagi Ikhtetam Ko Ponchi



Jashn Hota Toh Tham Gaya Hota,
Woh Hai Matam Soo Roz Karti Hoon



Yehi Hai Zindagi, Kuch Khawab, Chand Umeedein,
Inhee Khilono Se Tum Bhi, Behel Sako Toh Chalo



Hawa Ne Gard Mein Tehleel Kardia Warna,
Garoor e Nagma Thay, Nikle Thay Jab Rubab Se Hum



Woh Hum Hee Hain Jo Bethey Rehte Hain,
Hijr Ke Bechain Mazaron Pe Malango Ki Tarah



Apne Jalne Mein Kisi Ko Nahi Karte Shareek,
Raat Ho Jaye Toh Hum Shama Bhuja Dete Hain




Takhleeq Karke Apni Hee Marzi Ka Aik Ishq,
Uss Mein Se Wapsi Ka Bhi Rasta Banaunga




Suno Main Bhi Talash Mein Hoon Kisi Apne Ki,
Koi Tumsa Ho Lekin Kisi Aur Ka Na Ho



Iss Darje Aehtyaat Se Likha Hai Khat Ussey,
Roya Hoon Yun Ke Harf Bhi Geelay Nahi Huye



Abhi Na Jao K Waqt Nazuk Hai,
K Zindagi Laut Kar Nahi Aati



Mehrbaa’n Ho Kar Bulaoge Mujhe,
Toh Main Gaya Waqt Nahi Ke Wapis Na Aa Sakon



Main Tujhe Dhundne Yaadon Ki Khuli Sarkon Per,
Zard Pato’n Ki
Tarah Roz Bikher Jaati Hoon




Gaye Dino Ki Aziz Baatein Nigaar Sab Hee, Gulab Raatein
Besaate Dil Bhi Ajeeb Shae Hai Hazar Jeetien, Hazar Maatein






Bichar K Yaad Nahi Kitne Mah o Saal Huye,
Sayaa Le K Chale Thay, Safaid Baal Huye




Sabit Kadam Hun Zabt e alam K Maqam Per,
Tuta Hua Zarur Hun Magar Haara Nahi Hun Main




Kitne Lehjon K Gilaafon Mein Chupaun Tujhko,
Sheher Wale Mera Mohzu e Sakun Jaante Hain





Ghabra K Zindagi K Gham e Laazawal Se,
Hum Roo Diye Lipat Ke Tumhare Khayal Se



Mata’ay Zeest Mein Shamil Rahe Hazaron Rafiq,
Woh Jiski Chah Thi Dil Ko Wohi Magar Na Mila



Mudatton Unke Tasawar Mein Guzaari Raatein,
Mudatton Unke Tasawar Se



Ghar Mein Hai Aaj Tak, Wohi Khushboo Basi Huyi,
Lagta Hai Yun Ke, Jaise Woh Aa Kar Nahi Gaya



Zindagi Rangon Ki Manand Hai Sahab,
Rang Milte Hain Toh Rang Badal Jaate Hain



Ek Mohabbat Ka Mashgala Le Kar,
Zindagi Khoob Ki Tabah Hum Ne




Sheher Kuchon Mein Karo Hashar Bepha Aaj K Hum,
Uss K Waadon Ko Bhulane K Liye Nikle Hain





Main Tujhse Kaise Kahun Yaar Mehrbaan Mere,
K Tu Ilaaj Hai, Meri Har Udasi Ka



Abhi Suraj Nahi Dooba Zara Si Sham Toh Hone Doh,
Main Khud Hee Laut Jaunga Mujhe Nakam Toh Hone Doh



Woh Mujhe Dekhta Rahe Aur Main,
Dekhna Dekhta Rahun Uska








Woh Dil Kahan Se Laun Teri Yaad Jo Bhoola De,
Mujhe Yaad Aane Wale, Koi Rasta Toh Bata Dey



Mil Gayi Is Gunahgar Ko Woh Naik Seerat,
Uss Ke Wasl Ko Main Naikiyon Ka Ajer Likhti Hoon



Yeh Ishq, Mohabbat, Pyaar Nahi Maloom Kya Hai,

Per Humein Jo Tumse Hai Woh In Sab Se Bhi Judaa Hai






Aik Dhaage Ki Laaj Rakhne Ko,
Mom Ka Rom Rom Jalta Hai




Yeh Jo Raqs Hai Mera Farsh Per, Yehi Le Uraa Mujhe Arsh Per
Meri Zaat Mein Jo Dhamaal Hai, Yeh Tere Ishq Ka Kamaal Hai



Khudkash Hamle Toh Bahut Ho Chuke,
Ab Koi Dilkash Hamla Hona Chaiye



Bus Itna Khayal Rakhiye Ga,

Mohabbaton Ki Qaza Nahi Hoti



Benaam Arzoo Ki Wajah Na Poochein,
Aik Ajnabi Tha Rooh Ka Dard Ban Gaya



Dekh Mat Cher, Chilak Jaye Na Pemaana e Sabr,
,Hum Zamane Ke Rawiyon Se Bhare Bethey Hain



Uski Khushboo Kahin Nahi Milti,
Phool Saare Khareed Kar Dekhe Hain



Koi Taweez Aesa Doh K Main Chalak Ho Jaun,
Bahut Nuksan Deti Hai Mujhe Yeh Sadgi Meri



Thukra Diya Jinho’n Ne Mujhe Mera Waqt Dekh Kar,
Aesa Waqt Laaunga Milna Parega Mujhse Mera Waqt Le Kar



Mujhe Chahne Walon Ki Tedaad Barhti Jaa Rahi Hai,
Nafrat Karne Walo Apni Dua’on Mein Aser Laao




Meri Yaad Qayamat ki Tarah Hai,
Yaad Rakhna Aayegi Zarur Aik Din



Masroofiyat Mein Aati Hai Behadh Tumahri Yaad,
Fursat Mein Teri Yaad Se Fursat Nahi Milti



Samundar Mein Fana Hona 
Toh Kismat Ki Baat Hai,

Jo maraty hain kinaro pa
Mujhy dukh in ka hota ha







Hawa Ke Rukh Pe Chalta Hai 
Chirag e Arzoo Ab Tak,

Dil e Barbaad Mein 
Ab Bhi Kisi Ki Yaad Baaqi Hai





Alfaaz Hee Sab Kuch Hote Hain 
Zara Sambhal Kar Bola Karo,
Dil Jeet Bhi Lete Hain 
Aur Dil Cheer Bhi Lete Hain






Kabhi Sajde Kabhi Aansu 
Hazaron Koshishein,
Lekin Jo Haq Mein Nahi Behtar
 Woh Rone Se Nahi Milta




Mohabbaton Mein Naye 
Tarz e Intiqaam Ki Sham,

Kisi K Sath Guzaari
 Kisi K Naam Ki Sham





Tum Gairon Ki Baat Karte Ho
Hum Ne Apne Bhi Azmaaye Hain,


Log Kaanton Se Bach K Chalte Hain 
Hum ne Phoolon Se Zakham Khaye Hain







Hum Log Bhi Kitne Ajeeb Hain,

Nishaniyan Mehfoz Rakhte Hain 

Aur Logon Ko Khoo Dete Hain




Qissa e Gham, Dil Kaafir Ka Sunaate Kisko ?
Ajnabi Sheher Ka Har Shaks Hee Musalman Nikla







Chasm Nam Ki Daaron Se Wazu Karke,

Ik Shaks Ko Parha Hai Ayaton Ki Tarah




Woh Ranjha Tha Mera ,

Per Main Uski Heer Na Thi





Wese Hee Tumhe Veham Hai, 
Aflak Nashee’n Hain,

Tum Log Barey Log Ho, 
Hum Khak Nashee’n Hain




ویسے ہی تمہیں وہم ہے ،
 افلاک نشیں ہیں

تم لوگ بڑے لوگ ہو ،
 ہم خاک نشیں ہیں





Hum Ne Mohabbaton Ke Nashe Mein Ussey Khuda Bana Daala,
Hosh Tab Aaya Jab Usne Kaha Ke Khuda Kisi Aik Ka Nahi Hota
ہم نے محبتوں کے نشے میں اُسے خدا بنا ڈالا
ہوش تب آیا جب اُس نے کہا کہ خدا کسی ایک کا نہیں ہوتا




Firdous e Jannat Mein Lakh Hoor’on Ka Tasawar Sahee,
Main Ek Shaks Ke Ishq Se Niklun Toh Wahan Tak Sochun



Hum Ne Seene Se Lagaya Dil Na Apna Ho Saka,
Muskura Kar Tumne Dekha Dil Tumhara Ho Gaya