All Fb Friends ko Ek Sath Fb Group me Kaise Add karte hai?
Hello Dosto Namaskar Aaj ke Ish Article Me Main Apko bataunga ki aap Apne Sabhi Facebook Friends ko Ek Click me Kaise Add kar sakte ho,Agar Apke Paas koi Group hai aur Aap One By One Friend Group me Add Karne se pareshan ho gaye ho to Aaj Main Aap Sabhi ke liye lekar Aaya hu Aisi Trick jisse apki ye Problem Solve Ho jayegi,Aur Aap Apne Sabhi Friends ko Ek Sath Facebook Group me Add kar sakte ho,Yadi aap Kisi Friend ko Group me Se Remove karna Chahte ho Ya Phir Parmanent Block karna Chahte ho to bhi Aap Kar Sakte hi To Chalo Ish Trick Ke Baare me Batane se Pahle Main Aapko Kuch Bata deta hu Facebook Group ke Baare me ki Fb Group kya hai,Fb Group ke Kya Phayde hai,Aur Sabhi Fb Dosto ko Ek Click me Fb Group me Kaise Add Kar Sakte hai.
Facebook Group Kya Hota Hai?:-
Facebook Group Facebook ki Service hai Jiska Use karke aap Apne Friends ko Add kar sakte ho,Facebook Group me Aap Kitne bhi Fb Friends Add Kar Sakte ho,Facebook Group ka Use Discussion ke liye bhi kiya jaata hai,Agar Aap apna Kuch Business Start karna Chahte ho,Aur ush Business se related kuch log apke friends hai fb par to aap Facebook Group banakar Unko Add kar sakte ho,Itna hi nahi Agar aap apni kisi Organization or Ya kisi product ki Advertising karna Chahte ho to Facebook Group bahut hi Important Role Play Karta hai.
Facebook Group Privacy Types kya hai:-
Agar Fb Group ki Ki Privacy types ki baat karey to 3 Types hai Facebook Privacy ke Jinko Aap Apne Facebook Group me Set kar Sakte ho.
1.Public Group
Who Can Join? -Anyone Can Join or be added or invited by member
Who Can See the Group name?:-Anyone
2.Closed Group
Who Can Join? -(Anyone Can Ask to join or be added or invited by member)
Who Can See the Group name?-Anyone
3.Secret Group
Who Can Join? -Anyone,but they have to be added or invited by member
Who Can See the Group name? -Current or Former Members
Facebook Group ke Kya Phayde(Benefits) hai?
Agar Facebook Group ke Phaydo ki baat karey to Facebook Group ke bahut Phayde hai,Facebook Group par Aap Apni Organization ki Advertising Kar Sakte ho,Apne Product ki Advertising kar sakte ho,Apne Kisi bhi Business ko Promote Kar Sakte ho.Maine Facebook Group ke Benefits Niche Diye hue hai.
1.Blog or Website ko Promote kar sakte ho.
2.Youtube Channel ko Promote kar Sakte ho
3.Apni Organization ki Advertising kar sakte ho
4.Apne Product ko Sell kar Sakte ho
5.Discussion kar sakte ho.
All Facebook Friends ko ek Sath Group me Kaise Add Karey?:-
Add All Facebook Friends Automatically In Group:-
Dosto Ish Method ko Aap Mobile par Use nahi Kar Sakte Iske Liye Apko Laptop/Compter ki Jarurat padegi,To Chalo Dosto Ab Main Apko Batata hu ki Aap Sabhi Facebook par sabhi friends ko ek baar me hi Group me kaise add karte hai,Dosto Jis Method ko Main Apko Batane Ja Raha hu Vo Maine Bhi Use Kiya hua hai,Aap Dekh Sakte hai Mere Facebook Group me 1000+ Members Add hai Aur Unko Maine Ish Tricks se hi Add Kiya hai,Agar Aap Apne Group me Manually Members Add karoge to usme Kaphi Time Lag Jayega Lekin Main Apko Bataunga Automatic Method ke Baare me Jisme Aap Sabhi Friends ko ek Sath Kuch hi Seconds me add Kar Sakte hai to Chalo Start karte hai,
Step-1:-Laptop/Computer me www.facebook.com par jakar apna fb account login karey.
Step-2:-Ab aap apne ush facebook group ko open karey jisme aap apne All fb friends add karna chahte ho.
Step-3:-Facebook Group me aane ke baad F12 Button dabaiye, jo Mouse me sabse Upar ki Line me hota hai ,Ya Iske Alava Apne Mouse ka Right Button ko Dabaiye Aur Uske baad usme Niche Inspect Option Aata hai Ush Par Click Karey.
Step-4:-Iske Baad ek Popup Open Hoga Usme Apko 'Console' par click karna hoga.
Step-5:-Ab Isme Niche Apko ek Code PasteKarna Hoga Jisko Aap Niche Jo Link Diya Hua hai ish par click karke Copy kar sakte ho.
Step-6:-Ab Enter par Click Karey,Aur Ab Process Start Ho Gaya Hai Apke Friends Add Hone Ka Group me.
Aur Ish Tarah Se Aap Apne Sabhi Friends ko ek sath Group me Add kar sakte ho.
Note-Maine bhi Facebook Group me Friends Add karne ke liye Ish Tricks ka hi use karta hu,Ye Achhi Tricks Hai Ish Tricks se Apka Kimti Time Bach jata hai,Aur Friends bhi jaldi Add ho jate hai fb Group me,Agar Apki Friend list badi hai to Automatic Friends Add hone ke dauraan Facebook apki ID ko Block bhi kar Sakta hai,Ya Phir apko Group se Bhi Block kar Sakta hai,Agar Apki Fb Id Block Ho jaye to aap Kuch Din Phir Se Use kar Sakte ho Ish Trick ko.