Most Important Urdu Notes


Most Important Urdu MCQs.

  1. Thandi aag by Intizar hussain
  2. Rustam o sohrab Agha hasher kashmiri ka drama tha
  3. Agha Ashar kashmiri ko urdu ka Shakespeare kaha jata hay
  4. Drama Anar kali by Imtiaz ali taaj jo k tragedy hay
  5. Chacha chakan imtiaz ali taj ka aik kirdar hay
  6. Drama taleem balghan khawaja moen ud din nay likha tha jo k 1954 main likha gia
  7. Sab rus Mulla Wajhi nay likha tha
  8. Sab rus aik tamseeli qissa tha ki zuban Deccani kahi jati hay
  9. Mazameen farhat Farhat ullah baig nay likhi thi
  10. Molvi nazeer ahmed ki kahani farhat ullah baig ka likha howa khaka tha
  11. Ye khakh unho nay 1928 main likha tha
  12. Movli nazeer ahmed farhat ullah baig k ustad thay
  13. Pitras bukhari ka asal name ahmed shah bukhari tha
  14. Urdu ki akhiri kitab by Pitras bukhari
  15. Maan ki museebat
  16. khana khud pak raha hay
  17. dhobi aj kapry dho raha hay
  18. main aik miyan hon
  19. Mazameen e rasheed Raheed ahmed Sadique ka pahla nasri majmua hay jo 20 mazameen pay mushtamil hay
  20. Aab e gum mushtaq ahmed yousfi k mazameen ka majmua hay jo 1989 main shaya howa aor ic main 6 unwan k mazmoon hain
  21. Aab e gum k markazi kirdar mirza abdul wadood baig ko mushtaq ahmed yousfi nay apna humzad kaha tha
  22. Sir sayyad ahmed khan jaded urdu nasar k pani han
  23. Narang e khayal Mohammad hussain azad nay likha jis main 14 mazameen shamil hain
  24. Hayat e jawaid altaf hussain hali nay likhi thi jo 2 hisso pay mushtamil hay
  25. Meer o Soda ka doar 1706 say 1810 tak phela howa hay
  26. Meer o Soda k doar main urdu pay farsi ghalib rahi
  27. Meer Taqi meer apny zamany ka sab say barha ghazal go shahir tha
  28. Momin o Gahalib k doar main ghazal nay boht arooj hasil kia
  29. Abraham Zoq (died 1854) bahadur shah zaffar ka ustad tha.
  30. Mirza ghalib died in 1869
  31. Fort William college was found in 1800
  32. Sir sayyad nay Tehzeeb ul akhlaq 1870 main nikala tha
  33. Anjaman e Punjab 21 jan 1865 ko banai gai
  34. Dr Lightener pehla sadar tha aor molana Muhammad hussain azad secretary
  35. Sajjad zaheer aor malik raj aanind nay 1935 main taraqi pasand tehrik ki buniyad rakhi
  36. Anjaman ki pahli conference 15 april 1936 ko munshi paraim chand ki sdarat main Lakhnao main hoi
  37. Faiz ahmed faiz, N.m Rashid and majeed amjad ka taluq taraqi pasand tehrik say hay
  38. Faiz ahmed faiz nay ye nazmain likhi hain
  39. sham e tanhai
  40. subha e azadi
  41. chand roz aor meri jan
  42. heart attack
  43. Taraqi pasand afsano ka pahla majmua Angary hay jo tehrik k aghaz say pahely December 1932 main shaya howa,
  44. Angary 1933 mai zabt ho gai thi
  45. Angary mai 9 afsany aor 1 drama tha


Angary (aik jaiza)
sajjad zaheer nay 5 afsany likhy thy. “neend nahi ati. Jannat ki basharat. Garmiyu ki aik rat. Dulari. Pher ye hangama.
Rasheed jahan ka 1 afsana Dilli ki sair aor drama Pardy k peachy
Ali Ahmed 2 afsany Badal nahi aty and Mahawatto ki aik rat
aor mehmood zafar ka Jawan-mardi

Taraqi pasnd afsana nigaro main paraim chand ka name numayan hay
Paraim chand nay afsana Kaffan likha
Kirishan chandar k ye afsany boht maqbool hoey

I. An data
II. Kalu bhangi
III. Balcony
IV. Barham puttar
V. Piyasa
VI. Teen ghunday
VII. Pishawar express
VIII. Cherry k phool

  • Ahmed nadeem qasmi wrote Chopal and Bagoly.
  • Kishwar naheed ko urdu zuban ki pehli baghi shaira kehty hain
  • Majeed amjad nay namaz nigari main name peda kia
  • Muneer niazi nay apni Alaamat hindi zuban say aghaz ki hain
  • Faiz ahmed faiz ko Lenin Peace prize 1962 mila tha