(Image Credits- Extratipstrick.com)
Google duniya ka sabse jyada use kiye jaane bala search engine hai,aur kyon na ho iske kuchh feature real me lajajab hai ,Google ne hum logo ko bahut kuchh free me provide karaya hai jaise Gmail,youtube,google alert,google business,keyword planner etc .To aise me ab baat aati hai ki jab google itna bada search engine ha to iski kuchh mind blowing tricks bhi hongi,Aaj ke is topic me main aapke liye lekar aaya hoon Google ki bahut hi jyada use kiye jane bali 8 tricks ,jinke baare me aap jante nhi honge aur unhe dekhkar aap surprise bhi honge .
Chaliye ek ek karke dekhte hai google ye behtareen tips jo aapke google ko use karne ka najaraiya hi badal dengi.
1. Set a Timer Stopwatch
aap google par time set kar sakte hai ,aur usko stopwatch ki tarah use kar sakte ho,ye trick karne ke liye bas aapko google ke search bale box me set a timer stopwatch likh kar search karna hoga.Aur uska result aap wanha saf saf dekh sakte hai.
2.Flip Coin
Aap google me coin ko flip bhi kara sakte hai jaise cricket me team ki inings ko tay karne ke liye coin ko upar uchhaala jata hai ,isi tarah ap google se bhi wahi kaam kar sakte hai ,aur jeet haar ka nirnay le sakte hai.Iske liye sirf aapko google search box me sirf flip coin likhkar search karna hoga bas aur result aapke saamne hoga.
3.Check Weather
Aap google ki help se apne yanha ka current mausam ki jankari le sakte hai ,main persionaly is trick ka use karta hoon ,aur google ki sabse badi khasiyat hai ki ye bilkul exact weather ki jaankari deta hai aapki location ke hisab se.Apni city ka weather check karne ke liye simply google search box me weather likhkar search karna hoga ,aur aapke samne aapke yanha ke mausam ki janakri khul kar aa jayegi.Aur pata chal jayega ki aapke yanha ka temprature is time kitna hai
4. Calculator
Ji ha aap Google par calculator ka bhi use kar sakte hai,google ne feature de rakha hai ,isse aap koi bhi calculation kar sakte hai normaly ,Google par calculator kholne ke liye simply Google ke search box me Calculator likh kar search karna hoga ,aur aapke samne Google ka mind blowing calculator khul kar aa jayega
5.Roll a Dice
Dice ke baare me lagbhag sabhi log jante honge ,jisme 6 falak hote hai ,aur har ek falak par 1 se lekar 6 tak no. likhe hote hai .To hum Google ki help se ye bhi kar sakte hai ki dice ko idhar udhar ghuma kar matlab roll karke koi game bhi khel sakte hai,aisa karne ke liye aapko Google searc box me jakar Roll a dice likh kar search karna hoga bas .
6.PACMAN game
Aap google ki main screen par pacman game bhi khel sakte hai ,ye bahut achhi trick hai mere samajh se ,pacman game ko lagbhag sabhi umar ke log jante honge kyonki ye itna popular hi hai,To google par ye game khelne ke liye aapko Google search box me pacman likh kar search hoga ,fir jo screen khulegi usme aap aram se pacman game ko khel sakte hai.
7.Google Gravity
Gravity ke baare me to sabhi jante honge ,jaise apne yanha earth par gravity hoti hai 9.8m/sec^2 ,but kanhi kanhi par gravity kam hoti hai to sabhi cheeje flot karne lagti hai,isi tarah aap google par bhi 0 gravity ka anand le sakte hai,baise to ye ek google ka project hai aage dekho kya hota hai,aap google gravity dekhni hai to simply is link par click kariye isse google ka homepage khul kar aayega wanha par kucch search karna to aap asani se gravity dekh payenge.
8.DO a barrel Roll
Iska matlab hota hai ki ap apni google ki screen ko rotate kar sakte hai ,agar aap apni google ki screen ko kisi angle par ghumana chahte hai to simply Google search box me jao aur do a barrel roll search karo ,isse aap dekhenge ki aapki screen rotate ho chuki hogi.
Agar aapko mera ye post pasand aaya ho to please isko share karna nhi bhooliye,Aaapke support ke bina main is knowledge ko aage tak nhi pahucha sakta ,isiliye mere post ko share karke meri help kijiye taaki main aapke liye ek se badhkar ek tricks aur hack la saku ,post ko share karne ke liye aap neeche di gayi share buttons ka prayog kar sakte hai.....Dhanyabaad Aaapka din achha ho.