Zari k jaany k kuch lamhon k baad hi Saaarim ki halat gher hony lg gai thi.. khud ko mazboot sabit krny k chkron mai who kitna toot chukka tha, ussy andaza tha.. lekin uss ka dil jaisy halaq mai atak geya tha.. Usski ankhon mai faqat uss ki ansoo bhri ankhen thi.. Uss ny issy Zari sy bchrrny ka gham smjha aur packing krny lga.. Aaj us ski flight thi who apny walden k paas London jaa raha tha.
Zaari k ghar walon ko Hadiya ny kaisy bulaya? kon Zari ko Shifa hospital laya tha? wo kuch nhn janti thi.. Sbb uss sy puch puch kr thak gaye thy lekin uss k zubaan hil hi na paa rahi thi. Wo unhein btati bhi tou kia? " Hadiya bety ussy kuch nhn hoga hum sb ki duaen hein uss k sath" Zari k father ny himmat kr k Hadiya k sar pr hath pherty huye kaha. "Uncle… Zari.. Uncle woh hum road cross kr rahy thy.. Zari.. Jaldi kr gai Uncle.. me.." uss ny hchkiyu k saath pehli baar kuch kehna chaha " Bss bchy.. sirf dua kro ab.. ALLAH meri bchi ko sehat dy" Zari ki walda ny ussy sath lgaty huye kaha, go k unka dil pr kia guzar rahi thi wo hi janti thi.
Un sb ko hospital mai aik ghnta hony waly tha, aur doctors ny unhein kuch nhn btaya tha. Zari ki walda k hath musalsal tasbeeh rol rahy thy aur ankhon sy ansoo ki larri jaa rahi thi..
Zari k walid ki ankhen zabat ki shidat sy laal ho chuki thi, wo aik unchy kad kaath aur mazboot jisamat k maalik thy.. lekin jwaan baiti ko iss halat mai dekhny un k pas hosla nhn tha.. lekin umhen himmat dikhani thi…
Abhi kal hi ki tou baat thi jb woh pehli baar school k liye tyaar ho kr ai thi un k paas.. do poniyu mai kitni cute lgti thi woh unhen.. jb sy ussy pta chala tha k woh apny baba ko aese pasand aati hai, un k ghar aany k time pr woh do poniyan bnwa leti thi.. Uss ny hmesha wohi sbb kiya jo uss k baba ko pasand raha.. siwaye Muhabbat k.. Aik ansoo unki ankh sy beh kr unki daarhi mai jazab hogya tha.
Zari ka bra bhai bejaan qdmon sy corridor mai tehal raha tha. Zain jo k Zari sy 6 saal brha tha aur zra sanjeeda shakhsiyat ka maalik tha, ussy Zari sy hony waali akhri baat yaad aa rahi thi.
" Bss Behas nhn krna ab ap, jo mene kehna tha keh diya, hum ny aaj tak apko phoolon ki trah rakha hai, aur yeh faisla bhi ap ki bhalai mai kiya hai, ap mausoom hain abhi ap khud jan jayengi baad mai."Zain ny lehjy ko sakhat bnaty hoye kaha. Aur aaj uss ka dil tou jese ruk sa geya tha..
Bnd drwaza khula aur doctor bahar nikla.. ussi lamhy Zari k choty bhai Zeshan ny corridor mai qadam rakh jo Lahore sy Zain ki cal pr abhi hi Islamabad phncha tha.. Zari k walid sahib Shifa hospital k iss mayanaaz doctor ki traf bhry jo unka bchpan ka dost bhi tha..
Hadiya ny kaanu pr hath rkhdiye wo kuch nhn sun'na chahti thi.. Hadiya ny kuch lamhon k baad ankhen kholi thi lekin chlny waaly agly scene ki ussy kuch smjh nhn ai..
Zari k walid dewaar k sath lgy khrry thy aur un k dost Dr. Rizvi ny un k kndhu par haath rkha hua tha.. Aur Zari ki walida bench pr gri hvi thi aur Zain un pr jhuka hva tha.. Zeeshan k qadam bhi corridor jm sy gaye thy uss ki ankhon sy ansoun ki lrri jaari thi.
Doctor ny aesa kia kaha tha yeh who nhn jaanti thi..
Ayeney Ka Adha Rukh Episode 5 .... Soon !
Post your valued feedback about this episode and story in comments...