Reasoning Formula for Civil or Banking jobs Entrance exam

How to Crack Reasoning to hack any Exams In Hindi -

Reasoning Tricks
                                 Doston Reasoning ek esa Subject jo india level ke lagbhag hr exams me aata hai chahe fir vo exam state level ka ho ya fir nation level ka. Ye ek bahut easy subject hai or hum chahe to is subject me kafi Achi scoring kar sakte hain jo apke kisi bhi exam ki overall cut-off me apki jagh paki kar sakta hai.

  • Reasoning hai kya?

Agar aap Google me search kre to Reasoning ki ek simple si definition aati  hai ki logical or sensible way me kisi cheez ke bare me sochne ke liye jo hum kadam uthate hein vo Reasoning hai. Aur jayada isse Hindi me kare to Tark aur Samajhdari se jab hum kisi thing ke bare me jab hum sochte hein use English me Reasoning Kahte hein.


Tricks to Crack Reasoning in any Exam only in 1 Month in  hindi-



1. Select Syllabus of reasoning of Particular Exam-

      Doston hum jis bhi exam ke liye apply karte hain us particular exam ka syllabus hume us exam ki notification me diya jata hai jisse bahut se Students ni padhte. Select all that syllabus that will come in exam. Us syllabus ki ek list bna lo jaise-


    Types of syllogism questions
  • Syllogism
  • Direction Sense
  • Blood Relations
  • Number Series
  • Letter Series 
  • etc 
Jo bhi aapke exam ke syllabus me topics hein unhe Note Down kar lo. Yaad rakhe aap ke pass only ek month hai Maan lijiye apne Syllogism select kar liya. Mai aapko yahan bataunga ki syllogism me mainly kese questions put out hote hein.Is tarah ke questions Reasoning section me syllogism par based dekhne ko milte hein. Ye questions hume tab tak easy ni lagte jab tak hum in Questions ka basic ni samjh lete.In questions ko samjhne ke liye apko Venn diagram ki knowledge honi jaruri hai.
Par ise pahle apko Sets ke bare me bata deta hun.

Sets-
Simple ways me kahe to-A set is a collections of things.
Set ek saman ki list hai.
eg. {table,book,bag,chair...} hum isse ek set kah sakte hein.Table,book,bag......etc is set key elements hein. Ek set me aap jitni marzi things add kar sakte hein.Let apke pass two sets hein S1 and S2. Jinke elements apko with in brackets milenge{}
Example-
S1{facebook,google,yahoo,dealindiaexam}
S2{Amazon,snapdeal,Jabong,dealindiaexam}
Aapke paas upar 2 sets hein. Jinme ek Dealindiaexam word hai jo Dono sets me common hai jo hmari website ka naam hai. IN dono sets ka Venn diagram is tarah banega.

venn diagram
Venn Diagram
To apko Venn diagram samjh aa gaya hoga. Venn diagram is a circular representation of sets.To bus jab bhi exam me apho syllogism ke questions ayenge to aapne venn draw kar ke within sec uska answer nikalna hai.
agli aane wali post me apko syllogism ke pure shortcuts btayenge isliye subscribe kre hmare is page ko taki apko ane wale updates mil sake...|