Women Health Problem In Urdu And Hindi

Question 1: Meri andam nahani mein kujhli aur daney hain. mein kiya karoon?
Jab mein 15 saal ki thi, ghar mein aik mehman kay zariye jabran zeadti ka shaikar hogae thi . Ab mein 17 saal ki hon. Iss bat ko kesi sey keh nahi pae hon . Kuch mahenoo sey andam nahani mein kujhli si horahi hai aur bahar daney dekhae detey hai. Yeh takaleef jabran zeadti kay hadsey ka natija to nahi hain? Mein kiya karoon?

Answer 1:
 Mein aap ki pareshani samajh sakti hon, lekhin aap fikar mand nah ho. Bachpan mein hoey iss hadsey ko aik takleefdah khuab samajh kar bhool jaein . Aap ki in takaleef ka iss hadsey ki waja sey bulkul nahi hai. Kabhi kabhi dobhi kay duley kaproon sey ya phir mahwari kay waqt istaamal kiya janey waley peds sey bhi infection hosakta hai. Aap ko andam nhani mein jo takleef horahi hai. Uss kay liye "Betnovate cream" ka istaamal karey. Aap ko androni infection hogya hai koi khatarnak bemari nahi hai. Aap bulkul thik hain. 

Question 2Meri beti ke jism per baal ziadah honey lagey hai'n. Ilaj batain.
Meri beti ab bari horahi hai. Pechley saal sey mahwari bhi shuro hogae hai. Lekin ussi waqt sey iss ke jism par baal ziada honey lagey hai. Jis sey theki badbu bhi aaney lagi hai. Kea issey kisi khas ilaaj ki zarorat hai?

Answwe 2: Je nahi, Aap pareshan nah hoon. Jism par ziada yak kam bal aik qudrati hota hai. Iss ka koi doctare ilaaj to ho nahi sakta. Aap maher beauty sey puchein , wo aap ki madad karsakey gi, Aap fekar nah karey , aap ki beti mukamaal aurat baney gi. Jism ki badbu kay liye beti ko green vegetable khelaein aur wazeesh karaein. Ahesta ahesta badbu kam hojaey gi. 

Question 3: Kya mujhe cancer ho raha hai?
Mein kher shadi shuda hon , 4 saal sey aik lasdar mawad sa discharge horaha hai. Doctor ney iss kay liye phealey to Antibiotics  ki  goliyan dein , phir kaha keh bachey dani kay moo par zakham hai. Iss liye yeh takleef hai. Mein tab sey hi pareshan hoon. Kea ghair shadi shuda larkeoon ko bhi issa hosakta hai? Kea mujhey cancer horaha hai?

Answer 3: Ji nahi aap ko cancer ki ilaamaat to nahi malume parh rahi hai. Leken aap ka pareshane hona fetri hai. Amuman iss tarah ki mushkil kher shadi shuda larkeoon kay sath  nahi hoti. Aap ki doctor ney kiya androni moaina kiya tha? umoman jab tak belkul zarore nah ho , hum doctor kher shadi shuda larkeoon ka androni moaina nahi kartey aur bakher iss moainey kay yeh nahi malume hosakta keh bachah dani kay moo par zakham hai ya nehi . Aap pareshan nah hoon. Merch masaley wala khana chordein. Aap ko zaroor faida hoga.

Question 4: Meri andam-e-nahani mai dard aur kharish hota hai. Kia karoon?
Mein 20 saal ki Kunwari Dosheeza hoon. idher kuch deno sey bari pareshani mein hoon, meri andham e nahani mein kharesh hoti hai, aur dard bhi , mein musallsal  uss mein "Antiseptic Ointment "lagati hoon ,aur "Detol" sey dhoti bhi rahti hoon. Lekin phir bhi aaram nahi aata au har waqt bey aarami rahti hai. Mein ney kuch deno nailoon ka under wear phehna tha. Yeh takleef uss ki waja sey to nahi? Mein apne safai ki taraf bhi tawajah deti rehti hoon. Kia karoon , kuch mashwara dein?

Answer 4: Mumkin hai keh under wear phehney ki waja sey allergic hogei ho. Aap "Betnovate N cream" istaamaal karey aur tang kaprey nah phehney , kaprey tang honey ki waja sey aazah mein hawa nahi lag pati aur infection ko thik honey mein deer lagti hai. Kuch din musalsal "Betnovate" lagaein aur tang kaprey nah pheney takey infection ki jagah ko hawa phunch sakey. 

Question 5: Kya mere betay ko chaati ke ubhar ki jagah cancer hai?
Meri umar 26 saal hai. Mera beta 15 saal ka hai. Uski chati kay right side ubhar sa aaney laga hai, jisa keh amuman larkiyoon kay badan par aaney lagta hai. Ubhar bohat ziada nahi hai, lekhin itna hai keh saaf dekhae deta hai. Kea yeh cancer hai? Kea yeh ubhar merey betey ki jinsi tabdeli ki to koi ilaamaat nahi ? Mein kiya karoon ?

Answer 5: Aap ki aur aap kay betey ki pareshane mein samajh hoon. Larkoon kay saath uss umar mein kabhi kabhi uss tarah ka maslah ban jata hai. Yeh halat amuman harmon kay tawazon kho janey kay baiz hi hoti hai. Iss umar mein larkiyoon ki tarah hi larkoon kay jism mein bhi kuch kuch tabdelyeen hoti hain. Aap abhi kuch nah karey . Ubhri hoi jagah nah dabaein , kuch dino bad yeh ubhar kudh bakhud ghaib hojaey ga. Fikar nah karey aur apney betey ko bhi issa hi samjhaein.

Question 6: Mera wazan ziadah hota jaa raha hai. Kya karoon?
Doctor kay mashwarey kay mutabik mein ney "Hysterectomy" karwai hai. Bachehdani kay nikal janey kay bad mara wazan bohat ziada hogea hai. Kuch auratoon neh mujh sey kaha hai, keh uss opperation kay bad ussi tarah sab ka wazan barh jata hai, Keya yeh sahi hai?

Answer 6: Ji nahi yeh khayaal ghalat hai. Bachedani kay nikal janey mein aur wazan barh janey mein koi taaluq nahi hai. Aap bakher cheknai kay khana lein aur kuch warzesh bhi karey .Tezi sey chalna bhi mufeed hosakta hai. Wazan khud bakhud kam hojey ga.Bachedani kay nikalney sey phealey shaed jo takleef rahti hai,.Uss sey chutkara paney sey jo rahat milti hai.Iss sey khaney peney mein Ahtiat kam hojati hai.

Question 7: Mere poshida azoo per jalney ka daagh hai. Ilaj batain.
Bachpan mein jal gae thi. Mera poshedah azoo bhi bori tarah jal gea tha. Ab wahan bohat barey dagh parh gae hain. Mery waldian meri shadi theh karrhey hain . Mujhey bohat dhaar lag raha hai . Keya koi issa ilaaj hai, jis sey yeh daagh door hosakey ? Keya mera fekarmand hona ghalat hai?

Answer 7: Aap ka fekar mand hona fitri zaroor hai, Lekin iss ko ley kar itna mayoos nah hoon ,uss tarah kay dakh plastic surgery sey mtaey jasaktey hain. Apne waldian sey israr karey keh wo aap ko kisi achey "Plastic Surgery" surgeon ka mashwarah laney dein. 

Question 8: Shaadi ke baad mera wazan badh gaya. kya yeh normal baat hai?
Shadi kay bad kuch hi dino mein merey koleyh aur chatyaan bhari ho gae hai. Meri dost kahti hain keh shadi kay bad issi tarh wazan barh jata hai. Shadi kay bad hormones ki bhi kuch garh barh hoti hai. Keya yeh such hai.? Keya iss maslay ka hal dawa kay zariye keya jasakta hai. 

Answer 8: Shadi kay bad jazbati dabao ya tabdeli ka asar jism par bhi parhta hai. Ussi tara "Endocrine system" bhi mutaser hota hai., Jis ke wajah sey jism ka wazan kabhi kabhi barh jata hai. Yeh asar aarzee hi hota hai. Wazan ghataney kay liye aap khud kuch kushesh karey . Tali bhuni mirch masaley dar chekney  khaney nah lein .Aik jagha kharey reh kar jogging karey .Cheni aur malaei wagharah sey parhas  karey .Kuch dino  mein phehley jaeysa  halka mahsus karney lagey gi.

Question 9: Raano'n aur koolho'n per se charbi khatam kerne ka tareeqa batain.
Mein 18 saal ki hoon, meri ranoon aur kolohoon par bohat ziada charbi chare hoi hai .Ussey kam karney ka koi takeka bataein .Charbi kam karney kay liye "Liposuction" karwana chahti hoon.

Answer 9: Aap apney wazan ko matwazen rakhey . Matwazeen gaza aur warzish sey "teraki", aur bicycle chalaney sey aap ko bohat faida hoga . Iss sey rano aur kolohoon ki charbi jaldi khatam hogi. Aap ko Liposuction Karvaney ki zarorat nahi




Question 10: Mujhe bar bar abortion ho jaata hai. Mein kiya karoon?
Meri shadi ko 4 saal hogae hai. Phealey 3saal to hum bacha nahi chaitey they , iss liye kuch din manah hamal goliya lein aur kuch din Condom istaamaal kiya .Iss kay bad hamlah to hoi, lekhin kuch din hamal thehrney kay bad hi "Abortion" hojata hai. Shadi kay phealey hi saal aik bar "abortion" karaya tha. Yeh issi ka natija to nahi ? Bar bar hamlah hoti hoon aur naumeed hojati hoon. Hum ney khoon ka test bhi karalea hai, Uss mein koi kharabi nahi hai. Mein kiya karoon?

Answer 10: Bar bar "Isqat-e-hamal" honey ki kaii wajohat hosakti hain. "Abortion"hoiey to kafi din hogaey hai. Iss kay liye pareshan nah hoon. Lagta hai bacha dani kay moo ki kamzori iss maslah ki jarh hai. Meri raa-ay hai keh kisi bohat mahir lady doctor ko aap dekhaein . Koi bohat fekar ki bat nahi hai. Hamlah honey kay liye jaldi nah karey . Phealey apni sehat ko thik karein. Mukamal test karaein .Agar bacha dani kay moo ki kamzoori hai, tohamlah hotey hi doctor iss kay moo par aik tanka lagadein gey. Zachgi kay waqt tanka nikaldeya jaey ga. Doctor ki raa-ay kay kay mutabiq mukamal aaram bhi karna chaiye. Dosri waja hamoon sey mutaliq kharabi hosakti hai. Yeh dono mushkilat door ki jasakti hai, iss liye aap itni mayoos nah hoon. In baton ko dihaan  mein rakh kar apna test karwalein. Mujhe pure umeed hai keh aap aik sehat mand bachay ki maan zaroor baney gi. 

Question 11: Kya mian bivi ka blood group same hona theek nahi?
Hamari abhi shadi hoi hai. Shadi kay bad hamein malum howa keh humdono ka blood group aik hi hai. Sab kehtey hai keh issi halat mein bachay sehat mand peda nahi hotey . Kea yeh such hai?

Answer 11: Ji nahi ,yeh such nahi hai ,aik sa blood groop honey sey olaad par yah in ki pedaish par koi bura asar nahi parta. 

Question 12: Kya dieting aur skipping se bachcha dani mai dheela pan aa sakta hai.Meri umar 24 saal hai. Zachgi kay bad mein ney paya keh mera wazan kam nahi horaha hai, aur jism bhi baydool horaha hai. Iss liye mein nay dieting aur spkipping shuro kardi. Ghar kay loog manah kartey hain keh abhi issa karney par sehat par bura asar parey ga aur bache dani mein dheela pan aasakta hai. Keya yeh such hai.
 
Answer 12: Yeh such haikeh zachgi keybad bohat jaldi hi ziada mehnat  wali warzish nahi karni chahiay . Agar zichgi belkul normal tareqey sey hoi aur aurat khud ko sehat mand mahsus kar rahi hai to 25 din sey aik mahiney aur bohat warzishey ki jasakti hai. Latey latey tangein sedhi kar kay upar uthein, Phir nichey ley aaein . Khari ho kar haat upar phelaein ,aur ghek kar paoon ka angotha choein , lekhin iss sey ziada nahi. Aur yeh bhi doctor sey poch kar hi karein. Daiting bhi doctor sey puch kar aur aik deit chart bana kar karey, takeh aap kay jism ko quwat bakhsh ghaza melti rahey. Kuch mahenoon kay bad aap doctor ki raa-ay sey warzish  barha sakti hain, lekhin tab bhi daitin issey kerey keh motapa kam ho, lekhin kamzori nah ho. hi karey.

Question 13: Hormone ki kami ki kya alamat hoti hai'n?
Meri shadi ko 3 saal ho chokey .Chahtey hoey bhi koi olaad nahi hoi. Mujhe har waqt kamzori si mahsus hoti hai, aur neend thik sey nahi aati. Aksar khawand ka jismani saath bhi achah nahi lagta. Meri kuch dostoon ka kehna hai keh issa harmoon ki kami ki waja sey hota hai. Keya yeh mumkin hai? Harmoon ki kami ki keya ilaamaat hoti hain?

Answer 13: Hamoon ki kami to nahi, lekhin harmoon ka tawazoon zaroor begath sakta hai. Iss tawazoon kay begarhney ki kaii ilaamaat hosakti hain. Jesaey mahwari chakkar ka bey quida hona. Aap ney jo ilaamaat lekhein hain ,in sey yahi malum hota hai keh aap "anemia" (khoonki mami) ki shikar horahi hoon .Yeh such hai keh harmoon kay tawazoon kay begarhney ki waja sey hamaal therney mein mushkil hoti hai. Agar aap ka mahwari chakkar bay qaida hai to kisi lady doctor sey mukammal muaenah karaein , Sahi ilaaj sey iss tawazoon kay begarh ko thik keya jasakta hai.

Question 14:  Meri mahwari ka masla hal karain.
Meri 14 saal ki hoon. 2 saal sey issey mahwari bhi horahi hai. Lekin wo ab bhi lambi hoti jarahi hai. Is ki keya waja hai? Keya kisi dawa sey iss ka lamba hona rooka jasakta hai? Is ski chatyoon ka irtaqah bhi nahi horaha hai. Mein bohat pareshan hoon.

Answer 14: Mawari shuro honey kay bad bhi larkiyoon ki height barhti rahti hai. Larkyoon ki height amuman 16 saal tak barhti rahti hai. Iss mein pareshani ki koi bat nahi. Agar aap ki larki lambi horahi hai. Iss liye mumkin hai ke iss ki chathyaan bhi barh jaein gi. Ji haan; Agar aap ki larki kher mamuli toor par lambihai to iss ka mukammal muaena doctor sey karaein.