Menses Problems In Urdu And Hindi

Question 1: kisi majboori ki wajah se mei ne mahwari ki date doctor kay mushwaray kay baad goliyan le kar kuch din agay barah di thi. Rozana aik goli li. Iskay baad to aik goli li. Iss kay baad to mahwari agae, lekin phir aglay mahiynay se mahwari bay quiada hogae. Mein kuch moti bhi hoti jari hun aur silan bayquida honay kay sath sath kam bhi horaha hai. kiya yeh parshaniyan iss waqt mahwari ki date barahnay kay baiz hi horahi hain?

Answer 1
: Aap khud ko ilzam na dain. Sirf 4-5 goliyan kahalenay se itni sari takleefay nahi hosakti. Yeh aik itefaaq ki baat maloom hoti hai, kay issi waqt se mahwari bayquida hori hai. motapay baranay ki dosri wajohaat bhi hosakti hai. jaisay roza mara ki masroofiat mein faraq anay kay sath zarorat se zaida khana layna ya phir kisi kay baiz zaidah khana wagaira. Motapa ghatanay se hi mawari bayquaida hojaye. Agar aisa nahi hota hai. to doctor Harmon ilaaj kay mutaliq mushwara lay. Tab tak ghizait lekin baigiar chikani ka khana le aur warzish karay.


Question 2: mein 20 saala dosheeza hun, meri mahwari abhi tak shuru nahi hui hai. meray waldain meri shadi karna chahatay hain. Sab khetay hain kay shaadi honay par theak hojaye ga. Lekin mein darti hun. Mahwari na honay se mein khud ko mukamal aurat mehsoos nahi kati aur shaadi kay baad susral walon ko yeh maloom hui to mujay bohat dukh bardasht karna partay ga. Mein kiya karon? Kuch mushwara dain. 

Answer 2: Aap ki parshani main samj gae hun. Mahwari shaadi kay baad azkhud kisi bhi tarh shuru nahi hojaye gae. Yeh to khud ko dukha daina hai. mahwari agar sahi omar mein shuru na ho to doctor ko zaror dekhana chahaye. Iss ka ilaaj karana chahaye. Aap ko 20 years mein bhi mahwari nahi hori hai, to zaror koe androni garbar hai. aap foran kisi mahir doctor se mushwara par amal karay.

Question 3: mahwari kay kam silan kay liye aksar Harmon ilaaj karanay ka mushwara daiti hain. Kiya Harmon ki dawa ka naam aap bata sakain gae? Mahir doctor se mushwara lena mushkil hai. dawa naam bata kar khareed sakti hun.?

Answer 3:
 
Harmon ilaaj aik khas trah ka ilaaj hai. jissay doctor kay mushwaray aur nigarani kay baigiar nahi karaya jasakta. Kissi khareeb hospital jakar aap ko Endometrial biopsy to karana parday gae, kyun kay iss baad hi doctor sahi dawa aur ilaaj ka faisla karsakian gay. Aapnay aap ya puri janch kay baigair Harmon lena khatrnaak bhi sabit hosakta hai. agar silan ki miqdar thori kam hai. to bhi doctor se mushwara karkay hi dawa lain.

Question 4: mein 19 saala dosheeza hun. Mahwari kay waqt mujay bohat zaidah dard hota hai. Exams kay din dard honay kay baiz mein papers acha nahi kar pahi agar khabi aisa ho kay exams aur mahwari ka aik hi din par raha ho to kiya kisi trah mein exams aur mahwari ka aik hi din par raha ho to kiya kissi trah mein date taal sakti hun ya dard kam karsakti hun?

Answer 4: Agar bohat hi zarori ho to mahwari ki date ko change kiya jasakta hai, lekin aisa karnay ki umoman mamooli halaat mein hum raa-ye nahi dyte. Agar kisi khas date ko dard mein mubtala honay ka shuba hai, to mahwari ko taala jasakta hai. iss kay liyah apni doctor se mil kar munasib dawa lay sakti hain. Dard kam karnay kay liyah, dard kam karnay ki dawa doctor se puch kar lay. Mahwari se phele pait saaf rakhain. Halki ghiza lay. Pait kay nichlay hissay ko garm pani ki bottle se saak lay. Mahwari ki takleeef se jahan tak hosakay tawaja hataye. Khabi khabi dil ki khabarat se bhi dard zaidah mehsoos honay lagta hai.

Question 5: mera mahwari chakar hamesha theak theak rehta hai. takreeban aik saal bhar se aista aista mein mehsoos kar rahi hun kay mein moti hoti jari hun. Mahwari bhi bayquaida hoti jari hai. mahwari silan bhi phelay kay barakas kam hota jaraha hai. meri umar 28 years hai. iss umar mein to menopauses nahi hota hai na? log khetay hain kay mahwari silan theak trah se na honay ki wajah se tamaam mushkilaat horahi hain. Kiya yeh sach hai? mein bohat parshan hun, kia karon?

Answer 5: Aap zaidah parshan na hun. Ji, han, iss umar mein menopauses honay ka imkaan to bohat kam hai. zaidah tar mahwari chakar mein kharabi ya mahawri silan mein kami baysa dani ki karkardgae mein garbar kay baiz hosakti hai. khabi jism ka wazan jab zarorat se zaidah barnay lagta hai to iss ka bura asar jism kay calendars par hi parta hai. iss liyah mahwari mein bayquaidgae aur jism mein bhari oan mehsoos honay ki wajah se takleef hojati hai. yahnii takleef ki wajah se wazan nahi bar raha, balkay wazan ki wajah se takleefian hori hain. Mera khaayal hai, aap wazan kam karany ki koishish karay. Halka ghizaiat wala khana lay. Jasiay jaisay wazan kam hoga' aap dekhain gae kay aap takaleef azkhud hal hoti jari hain. Agar wazan kam karnay ki koishish kamyaab na ho' to doctor se mushwara lay kay wazan kyun kam nahi horaha hai.

Question 6: Meri shaadi jaldi hi honay wali hai. meray mahwari chakar ki tareeq bulkul shaadi walay din par rahi hai. kiya kisi dawa se mahwari ki tareeq ko aik haftay phelay kiya jasakta hai? iss dawa se koe naqsaan to na hoga?

Answer 6: Mahwari chakar ki tareeq kay aik haftay baad kay liye tala jasakta hai. doctor se mushwara karay. In se puch kar Harmon ki goliyan ko lagataar iss waqt tak leti rahain, jab tak aap mahwari ko rukhna chahati hain. Iss trah khabi khabi li gae goliyan naqsaan nahi pouchati. Haan! Mahwari ki tareeq ko 7-8 din se zaidah 10 din tak rukhna hi theak rahay ga. Zaidah bara kar aik month na honay dain. 

Question 7: mein 15 saala hun. Kuch din se mera mahwari silan bohat kam hogaya hai. aur mein bohat susti bhi mehsos karti hun. Dil karta hai kay har waqt laiti rehti hun. Meri dost kheti hain kay bacha dani puri trah saaf nahi ho pati hai, iss wajah se susti hai. kiya Harmon ki kisi kami kay baiz aisa hota hai? mein kiya karon?

Answer 7: Kam silan kay sath agar jism mein susti bhi hai to mumkin hai, anemia (khoon ki kami) ho. Kam silan ka matlab ye nahi hai hai kay bacha dani saaf nahi ho pa rhi hai. aap iss ka test bhar doctor se karwaye, medicak checkup karwaye. Aur in se mushwara le kar yeh test karawa lay. Anemia kay liyeh bhi khoon test karwaye. Yeh maloom honay se sahi ilaaj hosakya ga.

Question 8: kuch mahino se achanak mahwari silan ho hi nahi raha hai. meri umar 20 saala hai. mein nay koe galat kam nahi kiya hai., phir mahwari ana kyun band hogae? Tab se ankhoon kay charo traf black circles par gaye hain. Baal bhi jhar rahay hain aur andham nahni mein khujli bhi hori hai. bohat parshan hun. Koe ilaaj bataye. Mein ghizaiat se bharpur khana leti hun aur warzish bhi karti hun. 

Answer 8: Zadah mumkin hai kay Harmon mein kharabi aur iron ki kami aap ki takleef ki jar ho. Hoisakta hai kay andham nahni mein infection bhi ho. Yeh infection dhobi kay dhoye kapron se ya phir jo puri trah saaf nahi hotay, aisay pads istemaal kay baiz bhi hosakta hai. general checkup karwaye aur andham nahni mein khujli kay liyeh lady doctor se rabta kray. Harmon ki kharabi kay liyeh Harmon ilaaj karawye. Baqi ilaaj bhi baquiada toor se doctor se mushwara lanay se hojaye ga aur aap bulkul theak hojae gae. Jaldi karay, atkay mahwari chakar phir se shuru hosakay.

Question 9: meri shaadi ko do baras hogaye hain. Mahwari bay quiada rehti hai. doctor ko dekhnay par unonay kaha hai kay bacha dani bohat choti hai. kiya iss ka ilaaj hai? kiya issi wajah se mahwari. Bhi bay quida hai aur mein hamla nahi hui hun?

Answer 9: Mahwari kay bay quiada honay ki wajah hai, baysa dani ka theak se kam na karna. Bacha dani kay size ka taluq Harmon se hota hai. aap ko Harmon kay sahi tawazan se baysa dani par acha asar par jaye ga. Mahwari baquaida hosakay gae. Agar apkay tube theak halat mein hai aur husband kay mada toleed mein jarzumay zarorat kay mutabiq hain. Tu aap hamla bhi hosakain gae. Kisi mahir doctor se baray mein mushwara karay.

Question 10: Mahwari Kay waqt siyaa rung kay lotaray se atay hain. Aur pait phool jata hai. ankhoon aur sir mein dard hota hai. kiya yeh sach hai kay mahwari theak na honay kay baiz motapa bar jata hai.?aur kuch raa-ye dain.?

Answer 10: khabi khabi jism mein kisi khas gland ki karkardgae main kharabi hojati hai, to is ka asar dosray glands par bhi parta hai aur iss wajah se baysa dani par iss ka bura asar pard sakta hai. jab baysa dani theak se kam nahi karti , to mahwari bay qauida aur kam hojati hai. khabi khabi motapay hi ki wajah se jism kay glands mein tawazin qaim nahi rahta hai. agar wazan bar raha hai to phelay wazan ghatanay ki kosihish karay. Ghiza mutwazin karay aur warzish karay. Mahwari kay waqt jism mein susti' sir dard hai to aksar auratoon ko hi hojat hai. is kay liyah parshan na ho, wazan kam honay se hosakta hai, tamam takleefain azkhud hi dur hojaye.

Question 11: mein 20 saala hun, 16 sal ki umar tak mahwari baquida rahi. Iss kay baad se bay quiada hogae hai. maa nay homeopathic ilaaj karwaya tha. Lekhin iss se to aur bhi bay quiada hogae. Doctor kheti hai kay D and C karadiya jaye. Kiya yehi ilaaj rahay ga?

Answer 11: Aap nay yeh nahi lekha hai aap shadi shuda hain ya nahi. Zaidah tar ghiar shadi shuda larkion ka androni ilaaj tabhi kiya jata hai jab aur koe mutbadil nahi rahay jata. Mahwari kay bay quiada honay ki kaii wajohaat hosakti hai. mahwari ka baquiada hona glands ki karkargae par dependent hai. agar dawa se masla hal hojata hai, to theak hai, warna doctor D and C ki raa-ye daiti hain. D and C mein bohat thora sa tissues nikal kar iss ka mohiyna kiya jata hai bay quiadgae Harmon ki kharabi kay baiz hai ya kisi infection. Iss kay baad sahi ilaaj mahwari baquiada hojati hai. 

Question 12: meray teen bachay hain. Meri mahwari bulkul theak rehti thi, lekhin teesri zachgi kay baad kuch months se mahwari silan kan hota jaraha hai. iss ki kiya wajah hosakti hai ? yeh zachgi kay doran kisi bay atiyati ka nitija to nahi ? koe to nahi ? koe khatnaak baat ti nahi?

Answer 12: Zachgi kay baad mahwari silan mein kami ki teen wajohaat hosakti hain. Anemia (khoon ki kami) Harmon ka tawazan bagar jana ya koe aur infection. Agar aap bachay ko apna dhood pila rahi hain to aik who bhi aik wajah hosakti hai. apni doctor se milain aur sahi wajah maloom karlay. Wajah maloom hojanay par iss ka sahi ilaaj hojaye ga. Yeh takleef kisi khatrnaak bemari ka ishara nahi hai, bay fikar rahain.