Abortion Problems in Urdu And Hindi

Abortion | Asqaat HamalAurat kay pait mein se muddat se pehlay bache ka raham se nikal jana abortion kahlata hai. Kai dafa aurat khood apni marzi se asqaat hamal karwati hai. Pehlay teen mah tak barha khatra hota hai.

Causes | Asbaab 
Is marz kay kayi asbaab ho saktay hain. Baaz awqat mareezah buhat kamzor ho jati hai aur hamal khood hi gir jata hai. Kayi dafa aurat kisi gunah ko chopane ki garz se asqaat hamal karwati hai. Baaz aoqaat mareeza ki jaan bachane kay liye hamal giraya jata hai.

Kayi aik beemaryan jaise aatishik, pechish, tip diq, dard gurdah aur larzay kay bukhar se hamal girjata hai. Kasrat mehnat se bhi hamal gir jata hai. Achanak kisi shaded zahni dhachkay se bhi asqaat hamal ho jata hai jiniyan aur jhillion ki kamzori waghairah bhi asqaat hamal ka sabab banti hai.

Clinical Features | Alaamat 
Mareeza kay jism mein thakawat aur dard hota hai. Tabiyat sust hojati hai kamar mein dard hota hai matli aur qai aati hai mareeza ko bukhar ho jata hai, raham mein khoon bahna shoro ho jata hai. Aisi halat mien mareeza buhat ghabrahut mahsoos karti hai.

Treatment | Ilaaj 
Mareeza ko dawayi ki bajaye ehteyati tadabeer ki zaroorat hoti hai ise hamal thahernay kay baad ziada mahnat wala kaam nahi karna chahiye. Mubashrat tark kadeni chahiye. Ziada garam ahsya nah khaye. Koyi dawai istamaal nah ki jaye jis se ghabrahat paida ho.Agar mareeza kisi jaan lewa beemari mien mubtiala ho jaye to bazaryah operation asqaat hamal kardena chahiye takeh jaan bach jaye.

Diet | Ghiza 
Mareeza ko zod hazam aur qowat bakhsh ghiza deni chahiye gaye ka gosht, daal masoor waghaira nahi khani chahiye.

Question 1: Mujhe bar bar abortion ho raha hai. Mein kiya karoo'n?
Meri shaadi ko teen saal hogaye hain. Teen saal kay baad hamla huwi to 6 months baad hi achanak teez khoon discharge hwua aur doctor kay atay atay bacha fot hogaya jaisay doctor ne nikala. Iss kay baad phir hamla huwi ab ki dafa 6 months baad haml phir gir gaya. Mein bohat dar gae hun kiya karon?

Answer 1: Phelay haml kay baad aap ko aur aap kay husband ko aapna checkup karwalana chahaye tha. Ab diar na karay apni aur apnay khawind ki khoon ki janch karawaye. Aap ko androni mohiyna ki zarorat hai. Harmon kay level ka checkup bhi zarori karwaye. Iss malomaat kay baad mushkil kay baray mein maloom hojaye ga, to mukamal aram karay. Yahnii bed rest karay. Doctor se puchay kay aap ko "Circular stage" ki zarorat to nahi hai. umeed hai phir aap tandurust sehat mand bachay hi paida karsakian gae.

Question 2: Mai ghair shadi shuda pregnant hoo. Kaisey abortion karaoon?Mein 20 saala khawari larki hun, mujay 1 ½ months ka haml hai, mein gar walon se yeh baat chupana chahati hun, iss liyeh doctor se abortion nahi karwasakti. Baraye marbani koe aisi dawa bataye jis se mujay chutkara mil jaye, meri madad karay?

Answer 2: Agar aap hamla hogae hain to kisi qism ki dawa na le, kisi dawa se haml khutanm nahi hota hai. in dawaion se jigar aur gurdon ko naqsaan pouch sakta hai. puri trah se disposal na honay par Septic hosaktic hai. aap kay liyah munasib  hoga keh kisi hamdard raazdar dost kau sath sarkari hospital kay khandani munsuba bandi kay shuba mein jakar lady doctor se MTP karwalay.

Question 3: Mera hamal bar bar zaye ho jaata hai. Mein kiya karoo'n?
Meri shaadi ko char saal hochukay hain, teen saal tak hum bacha nahi chahatay thay. Iss liyeh kuch din mane haml ki goliyan aur kuch din condemn istemaal kiya iss kay baad mein hamla hwui to lekhin kuch din haml rehnay kay baad isqaat hojata hai. shaadi kay phelay saal hi Abortion karwaya tha yeh issi ka nitija to nahi bar bar hamla hoti hun aur bar bar na umeed hojati hun. Hum ne khoon bhi test karaliya hai, iss mein koe kharabi nahi hai. mein kia karon?

Answer 3: Bar bar isqaat haml ki kaii wajohaat hoskati hai. Abortion huway to kafi din hogaye hain. Iss liyeh parshan na ho, lagta hai kay bacha dani ki kamzoori iss mislay ki jar hai. meri raa-ye hai keh kisi bohat mahir lady doctor ko aap dikhayain. Koe bohat fikar ki baat nahi hai, hamla honay mein jaldi na karay. Phelay apni sehat ko theak karlay, test karalay, agar bacha dani ka muhn chota hai to iss kay muhn mein taka laga dain, zachgi kay waqt yeh taka nikal dia jaye ga, doctor ki raa-ye kay mutabiq mukamal aram bhi karna chahaye, dosri wajah Harmon se mutaliq kharabi bhi hosakti hai. yeh donu mushkilaat dur hosakti hain. Iss liyeh aap mayoos na ho mujay puri umeed hai keh aap aik sehat mand bachay ki maa zaror banay gae.

Question 4: Mujhe laga-taat teen baar abortion ho chuka hai. Iss ki kya wajah hai?
Shaadi kay baad hi mein haml hogae. Lekin 1 ½ month kay baad isqaat haml hogya. Kuch mah kay baad phir hamla huwi lekin phir dobara wohi huwa. Aik baras kay baad jab teesri bar hamla hwui to phir doctor ne aram karnay ka mushwara diya. Teesray month phir isqaat haml hogaya. Meri aik dost ka kehna hai keh aisa meray khawanind ki kisi nadroni kharabi ki wajah se horaha hai kia yeh mumkin hai?

Answer 4: Ji nahi yeh koe zarori nahi hai, keh aisa khawanind ki kisi kharabi ki wajah se ho. Aap apna mukamal nadrni checkuop karwaye. Khawanind iss trah kay isqaat haml aky liye iss halat mein zimaydar hota hai jab keh "Chromosome" mein kharabi ho. Jab chromosome tandurust halat mein nahi hotay. Tab genuine mein kharabi reh jati hai aur qudrat azkhud iss kharab genuine ko jism se bhar kardiati hai, bhetar hoga aap donu apna mukamal mohiyna karwaye

Question 5: Chaar saal mai do baar hamal zaye hua. mein kya karoon?Meri shaadi ko char baras guzar chukay hain. Dobara hamla huwi, lekhin donu bar isqaat haml hogaya doctor se checkup karanay par honay ne kaha keh bacha dani ka size lambhai noma hogaya hai. yahnii opper se chora aur nechay se putla hai. Tab se mein bohat mayoos hun. Kiya is ka koe ilaaj nahi? Kiya mein khabi maa nahi ban paon gae?

Answer 5: Aap bhan mayoos na nah on. Aap ne bacha dani kay jis size kay baray mein bataya hai. iss size ki bhi bacha dani honay par bhi auratain hamla hoti hain aur tandurust bacha piada karti hai. Haan' yeh zaror sach hai kay iss trah ki bacha dani mein isqaat haml ka khatra bhar jata hai. waisay iss kay liye khaas ilaaj bhi muser hai aur operation se bhi size ko theak kiya jasakta hai lekhin operation tab hi kiya jata hai jab koe chara na rahay jaye. Ab ki aap jab hamla ho, to shuru se hi doctor se raabta karay. Agar doctor samjti hai kay bacha dani mein dheela pan hai to teesra month hotay hi wahan aik taaka laga dyna hoga' jissay zachgi dard shuru hotay hi khul diya jaye ga. Kisi baray hospital mein kisi mahir doctor se raabta karain.

Question 6: Kiya mein hamla hoo?Ghuzshta saal hamla hotay hi mujay maloom hogaya tha aur maloom honay kay kuch hi dinu mein mein ne Abortion karlayia. Iss kay baad mahwari silan bulkul kam hogaya. Mein ne phir jab doctor ko dekhaya to unonay dobara peeshab ka test kiya takay maloom ho keh haml to nahi hai. test se maloom huwa keh hamla nahi hun. Tab doctor ne dawa di. Iss se mahwari silan to huwa lekhin bohat dard kay sath aur silan kay sath lotaray aur jhili bhi nikli. Kiya mein hamla thi? Agar Haan' to test main kyun nahi maloom huwa? Mein aur meray husband baquaida mane haml zaraaye ka istemaal karay thay?

Answer 6: Aap kay sawal to aisa hi maloom hota hai keh aap ka isqaat haml huwa tha. Khabi khabi jab haml main "Date foists" hota hai. to test mein hamla honay ka sabut nahi mil pa'ta hai. aap khud ko ilzaam na dain. Mumkin hai yeh khud yahnii aap kay dawa khanay baigair bhi bachay ki surat na le pa'ta. Aap dobara doctor se checkup karalay aur apni sehat phelay puri trah thik karkay hi bachay kay sochain.